Qamar Jalalvi

lahad aur hashr mein ye farq kam pae nahin jate

Qamar Jalalvi

Aligarh, Uttar pradesh, India

1887-1968
lahad aur hashr meñ ye farq kam paa.e nahīñ jaate
yahāñ dhuup aa nahīñ saktī vahāñ saa.e nahīñ jaate
kisī mahfil meñ bhī aise chalan paa.e nahīñ jaate
ki bulvā.e hue mehmān uThvā.e nahīñ jaate
zamīñ par pā.ūñ rakhne de unheñ ai nāz-e-yaktā.ī
ki ab naqsh-e-qadam un ke kahīñ paa.e nahīñ jaate
tujhe ai dīda-e-tar fikr kyuuñ hai dil ke zaḳhmoñ kī
ki be-shabnam ke bhī ye phuul murjhā.e nahīñ jaate
junūñ vāloñ ko kyā samjhāoge ye vo zamāna hai
ḳhirad vaale ḳhirad vāloñ se samjhā.e nahīñ jaate
vaqār-e-ishq yuuñ bhī sham.a kī nazroñ meñ kuchh kam hai
patiñge ḳhud chale aate haiñ bulvā.e nahīñ jaate
fazīlat hai ye insāñ kī vahāñ tak jā pahuñchtā hai
farishte kyā farishtoñ ke jahāñ saa.e nahīñ jaate
bas itnī baat par chhīnī ga.ī hai rahbarī ham se
ki ham se kārvāñ manzil pe luTvā.e nahīñ jaate
'qamar' kī sub.h-e-furqat pūchhiye sūraj kī kirnoñ se
sitāre to gavāhī ke liye aa.e nahīñ jaate
Top Urdushayar.com