donoñ haiñ un ke hijr kā hāsil liye hue
dil ko hai dard dard ko hai dil liye hue
dekhā ḳhudā pe chhoḌ ke kashtī ko nāḳhudā
jaise ḳhud aa gayā koī sāhil liye hue
dekho hamāre sabr kī himmat na TuuT jaa.e
tum raat din satāo magar dil liye hue
vo shab bhī yaad hai ki maiñ pahuñchā thā bazm meñ
aur tum uThe the raunaq-e-mahfil liye hue
apnī zarūriyāt haiñ apnī zarūriyāt
aanā paḌā tumheñ talab-e-dil liye hue
baiThā jo dil to chāñd dikhā kar kahā 'qamar'
vo sāmne charāġh hai manzil liye hue