kaun se the vo tumhāre ahd jo TuuTe na the
ḳhair in bātoñ meñ kyā rakkhā hai tum jhūTe na the
bāġhbāñ kuchh soch kar ham qaid se chhūTe na the
varna kuchh paañv na the be-kār par TuuTe na the
ḳhaar jab ahl-e-junūñ ke paañv meñ TuuTe na the
dāman-e-sahrā pe ye rañgīn gul-būTe na the
rah ga.ī mahrūm āzādī ke naġhmoñ se bahār
kyā kareñ qaid-e-zabāñ-bandī se ham chhūTe na the
is javānī se to achchhī thī tumhārī kam-sinī
bhuul to jaate the va.adoñ ko magar jhūTe na the
us zamāne se duā kī hai bahāroñ ke liye
jab faqat zikr-e-chaman-bandī thā gul-būTe na the
kyā ye sach hai ai mire sayyād gulshan luT gayā
jab to mere sāmne do phuul bhī TuuTe na the
chhoḌ to dete the raste meñ zarā sī baat par
rahbaroñ ne manziloñ par qāfile luuTe na the
kis qadar aañsū bahā.e tum ne shām-e-ġham 'qamar'
itne taare to falak se bhī kabhī TuuTe na the