ab kaise rafū pairāhan ho is āvāra dīvāne kā
kyā jaane garebāñ hogā kahāñ dāman se baḌā vīrāne kā
vaa.iz na sunegā saaqī kī lālach hai use paimāne kā
mujh se hoñ agar aisī bāteñ maiñ naam na luuñ maiḳhāne kā
kyā jaane kahegā kyā aa kar hai daur yahāñ paimāne kā
allāh kare vaa.iz ko kabhī rasta na mile maiḳhāne kā
turbat se lagā kartā mahshar sunte haiñ koī miltā hī nahīñ
manzil hai baḌī ābādī kī rasta hai baḌā vīrāne kā
jannat meñ piyegā kyūñkar ai shaiḳh yahāñ gar mashq na kī
ab maane na maane terī ḳhushī hai kaam mirā samjhāne kā
jī chāhā jahāñ par ro diyā hai paañv meñ chubhe aur TuuT ga.e
ḳhāroñ ne bhī dil meñ soch liyā hai kaun yahāñ dīvāne kā
haiñ tañg tirī mai-kash saaqī ye paḌh ke namāz aatā hai yahīñ
yā shaiḳh kī tauba tuḌvā de yā vaqt badal maiḳhāne kā
har sub.h ko aah sar se dil-e-shādāb jarāhat rahtā hai
gar yuuñ hī rahegī bād-e-sahar ye phuul nahīñ murjhāne kā
bahke hue vaa.iz se mil kar kyuuñ baiThe hue ho mai-ḳhvāro
gar toḌ de ye sab jām-o-subū kyā kar loge dīvāne kā
ahbāb ye tum kahte ho bajā vo bazm-e-adū meñ baiThe haiñ
vo aa.eñ na aa.eñ un kī ḳhushī charchā to karo mar jaane kā
us vaqt khulegā his ko bhī ehsās-e-mohabbat hai ki nahīñ
jab sham.a sar-e-mahfil ro kar muñh dekhegī parvāne kā
bādal ke añdhere meñ chhup kar maiḳhāne meñ aa baiThā hai
gar chāñdnī ho jā.egī 'qamar' ye shaiḳh nahīñ phir jaane kā