abrū to dikhā dījiye shamshīr se pahle
taqsīr to kuchh ho mirī tāzīr se pahle
mālūm huā ab mirī qismat meñ nahīñ tum
milnā thā mujhe kātib-e-taqdīr se pahle
ai dast-e-junūñ toḌ na darvāza-e-zindāñ
maiñ pūchh to luuñ paañv kī zanjīr se pahle
achchhā huā āḳhir mirī qismat meñ sitam the
tum mil ga.e mujh ko falak-e-pīr se pahle
baiThe raho aisī bhī musavvir se hayā kyā
kaahe ko khiñche jaate ho tasvīr se pahle
dekho to 'qamar' un ko bulā kar shab-e-vāda
taqdīr pe barham na ho tadbīr se pahle