Qamar Jalalvi

soz-e-gham-e-firaq se dil ko bachae kaun

Qamar Jalalvi

Aligarh, Uttar pradesh, India

1887-1968
soz-e-ġham-e-firāq se dil ko bachā.e kaun
zālim tirī lagā.ī huī ko bujhā.e kaun
miTTī marīz-e-ġham kī Thikāne lagā.e kaun
duniyā to un ke saath hai mayyat uThā.e kaun
tevar chaḌhā ke pūchh rahe haiñ vo hāl-e-dil
rūdād-e-ġham to yaad hai lekin sunā.e kaun
ham aaj kah rahe haiñ yahāñ dāstān-e-qais
kal dekhiye hamārā fasāna sunā.e kaun
ai nāḳhudā ḳhudā pe mujhe chhoḌ kar to dekh
sāhil pe kaun jā ke lage Duub jaa.e kaun
rusvā karegī dekh ke duniyā mujhe 'qamar'
is chāñdnī meñ un ko bulāne ko jaa.e kaun
Top Urdushayar.com