Qamar Jalalvi

kabhi jo aankh pe gesu-e-yar hota hai

Qamar Jalalvi

Aligarh, Uttar pradesh, India

1887-1968
kabhī jo aañkh pe gesū-e-yār hotā hai
sharāb-ḳhāne pe abr-e-bahār hotā hai
kisī kā ġham ho mire dil pe baar hotā hai
usī kā naam ġham-e-rozgār hotā hai
ilāhī ḳhair ho un be-zabāñ asīroñ kī
qafas ke sāmne zikr-e-bahār hotā hai
chaman meñ aise bhī do chaar haiñ chaman vaale
ki jin ko mausam-e-gul nāgavār hotā hai
savāl-e-jām tire mai-kade meñ ai saaqī
javāb-e-gardish-e-lail-o-nahār hotā hai
hameñ vafā pe vafā aaj tak na raas aa.ī
unheñ sitam pe sitam sāzgār hotā hai
laboñ pe aa gayā dam band ho chukīñ āñkheñ
chale bhī aao ki ḳhatm intizār hotā hai
kahāñ vo vasl kī rāteñ kahāñ ye hijr ke din
ḳhayāl-e-gardish-e-lail-o-nahār hotā hai
junūñ to ek baḌī chiiz hai mohabbat meñ
zarā se ashk se raaz āshkār hotā hai
mire janāze ko dekhā to yaas se bole
yahāñ pe aadmī be-iḳhtiyār hotā hai
ḳhudā rakhe tumheñ kyā koī jaur bhuul ga.e
jo ab talāsh hamārā mazār hotā hai
hamārā zor hai kyā bāġhbāñ uThā leñge
ye āshiyāñ jo tujhe nāgavār hotā hai
ajiib kashmakash-e-bahr-e-ġham meñ dil hai 'qamar'
na Dūbtā hai ye beḌā na paar hotā hai
Top Urdushayar.com