Qamar Jalalvi

shaiKH aaKHir ye surahi hai koi KHum to nahin

Qamar Jalalvi

Aligarh, Uttar pradesh, India

1887-1968
shaiḳh āḳhir ye surāhī hai koī ḳhum to nahīñ
aur bhī baiThe haiñ mahfil meñ hamīñ tum to nahīñ
nā-ḳhudā hosh meñ aa hosh tire ġham to nahīñ
ye to sāhil ke haiñ āsār-e-talātum to nahīñ
nāz-o-andāz-o-adā hoñToñ pe halkī sī hañsī
terī tasvīr meñ sab kuchh hai takallum to nahīñ
dekh anjām mohabbat kā burā hotā hai
mujh se duniyā yahī kahtī hai bas ik tum to nahīñ
muskurāte haiñ salīqe se chaman meñ ġhunche
tum se sīkhā huā andāz-e-tabassum to nahīñ
ab ye mansūr ko dī jaatī hai nāhaq suulī
haq kī pūchho to vo andāz-e-takallum to nahīñ
chāñdnī-rāt kā kyā lutf 'qamar' ko aa.e
laakh tāroñ kī bahāreñ haiñ magar tum to nahīñ
Top Urdushayar.com