is meñ koī fareb to ai āsmāñ nahīñ
bijlī vahāñ girī hai jahāñ āshiyāñ nahīñ
sayyād maiñ asiir kahūñ kis se hāl-e-dil
sirf ek tū hai vo bhī mirā ham-zabāñ nahīñ
tum ne diyā hamārī vafāoñ kā kyā javāb
ye ham vahāñ batā.eñge tum ko yahāñ nahīñ
sajde jo but-kade meñ kiye merī kyā ḳhatā
tum ne kabhī kahā ye mirā āstāñ nahīñ
gum-karda raah kī kahīñ miTTī na ho ḳharāb
gard us taraf uḌī hai jidhar kārvāñ nahīñ
kyuuñ sham-e-intizār bujhāte ho ai 'qamar'
naale haiñ ye kisī ke sahar kī azaañ nahīñ