Qamar Jalalvi

ab to munh se bol mujhko dekh din bhar ho gaya

Qamar Jalalvi

Aligarh, Uttar pradesh, India

1887-1968
ab to muñh se bol mujh ko dekh din bhar ho gayā
ai but-e-ḳhāmosh kyā sach-much kā patthar ho gayā
ab to chup ho baaġh meñ nāloñ se mahshar ho gayā
ye bhī ai bulbul koī sayyād kā ghar ho gayā
iltimās-e-qatl par kahte ho fursat hī nahīñ
ab tumheñ itnā ġhurūr allāhu-akbar ho gayā
mahfil-e-dushman meñ jo guzrī vo mere dil se pūchh
har ishāra jumbish-e-abrū kā ḳhanjar ho gayā
āshiyāne kā batā.eñ kyā pata ḳhāna-ba-dosh
chaar tinke rakh liye jis shāḳh par ghar ho gayā
hirs to dekho falak bhī mujh pe kartā hai sitam
koī pūchhe to bhī kyā un ke barābar ho gayā
soḳhta dil meñ na miltā tiir ko ḳhuuñ ai 'qamar'
ye bhī kuchh mehmāñ kī qismat se mayassar ho gayā
Top Urdushayar.com