Qamar Jalalvi

mera KHamosh rah kar bhi unhen sab kuchh suna dena

Qamar Jalalvi

Aligarh, Uttar pradesh, India

1887-1968
mirā ḳhāmosh rah kar bhī unheñ sab kuchh sunā denā
zabāñ se kuchh na kahnā dekh kar aañsū bahā denā
nasheman ho na ho ye to falak kā mashġhala Thahrā
ki do tinke jahāñ par dekhnā bijlī girā denā
maiñ is hālat se pahuñchā hashr vaale ḳhud pukār uTThe
koī fariyād vaalā aa rahā hai rāsta denā
ijāzat ho to kah duuñ qissa-e-ulfat sar-e-mahfil
mujhe kuchh to fasāna yaad hai kuchh tum sunā denā
maiñ mujrim huuñ mujhe iqrār hai jurm-e-mohabbat kā
magar pahle to ḳhat par ġhaur kar lo phir sazā denā
haTā kar ruḳh se gesū sub.h kar denā to mumkin hai
magar sarkār ke bas meñ nahīñ taare chhupā denā
ye tahzīb-e-chaman badlī hai bairūnī havāoñ ne
garebāñ-chāk phūloñ par kalī kā muskurā denā
'qamar' vo sab se chhup kar aa rahe haiñ fātiha paḌhne
kahūñ kis se ki merī sham-e-turbat ko bujhā denā
Top Urdushayar.com