Qamar Jalalvi

dil agar hota to mil jata nishan-e-arzu

Qamar Jalalvi

Aligarh, Uttar pradesh, India

1887-1968
dil agar hotā to mil jaatā nishān-e-ārzū
tum ne to mismār kar Daalā makān-e-ārzū
nā-mukammal rah gayā āḳhir bayān-e-ārzū
kahte kahte so ga.e ham dāstān-e-ārzū
dil pe rakh lo haath phir sunñā bayān-e-ārzū
dāstān-e-ārzū hai dāstān-e-ārzū
hazrat-e-mūsā yahāñ laġhzish na kar jaanā kahīñ
imtihān-e-ārzū hai imtihān-e-ārzū
dil mirā dushman sahī lekin kahūñ to kyā kahūñ
rāz-dān-e-ārzū hai rāz-dān-e-ārzū
tum to sirf ik diid kī hasrat pe barham ho ga.e
kam se kam puurī to sunte dāstān-e-ārzū
Top Urdushayar.com