unheñ kyuuñ phuul dushman eid meñ pahnā.e jaate haiñ
vo shāḳh-e-gul kī sūrat naaz se bal khaa.e jaate haiñ
agar ham se ḳhushī ke din bhī vo ghabrā.e jaate haiñ
to kyā ab eid milne ko farishte aa.e jaate haiñ
vo hañs kar kah rahe haiñ mujh se sun kar ġhair ke shikve
ye kab kab ke fasāne eid meñ dohrā.e jaate haiñ
na chheḌ itnā unheñ ai va.ada-e-shab kī pashemānī
ki ab to eid milne par bhī vo sharmā.e jaate haiñ
'qamar' afshāñ chunī hai ruḳh pe us ne is salīqe se
sitāre āsmāñ se dekhne ko aa.e jaate haiñ