dekhte haiñ raqs meñ din raat paimāne ko ham
sāqiyā raas aa ga.e haiñ tere mai-ḳhāne ko ham
le ke apne saath ik ḳhāmosh dīvāne ko ham
jā rahe haiñ hazrat-e-nāseh ko samjhāne ko ham
yaad rakkheñge tumhārī bazm meñ aane ko ham
baiThne ke vāste aġhyār uTh jaane ko ham
husn majbūr-e-sitam hai ishq majbūr-e-vafā
sham.a ko samjhā.eñ yā samjhā.eñ parvāne ko ham
rakh ke tinke Dar rahe haiñ kyā kahegā bāġhbāñ
dekhte haiñ āshiyāñ kī shāḳh jhuk jaane ko ham
uljhaneñ tūl-e-shab-e-furqat kī aage aa ga.iiñ
jab kabhī baiThe kisī kī zulf suljhāne ko ham
rāste meñ raat ko muDbheḌ saaqī kuchh na pūchh
muḌ rahe the shaiḳh-jī masjid ko but-ḳhāne ko ham
shaiḳh-jī hotā hai apnā kaam apne haath se
apnī masjid ko sambhāleñ aap but-ḳhāne ko ham
do ghaḌī ke vāste taklīf ġhairoñ ko na de
ḳhud hī baiThe haiñ tirī mahfil se uTh jaane ko ham
aap qātil se masīhā ban ga.e achchhā huā
varna apnī zindagī samjhe the mar jaane ko ham
sun ke shikva hashr meñ kahte ho sharmāte nahīñ
tum sitam karte phiro duniyā pe sharmāne ko ham
ai 'qamar' Dar tū ye hai aġhyār dekheñge unheñ
chāñdnī shab meñ bulā laa.eñ bulā laane ko ham