kabhī kahā na kisī se tire fasāne ko
na jaane kaise ḳhabar ho ga.ī zamāne ko
duā bahār kī māñgī to itne phuul khile
kahīñ jagah na rahī mere āshiyāne ko
mirī lahad pe patañgoñ kā ḳhuun hotā hai
huzūr sham.a na laayā kareñ jalāne ko
sunā hai ġhair kī mahfil meñ tum na jāoge
kaho to aaj sajā luuñ ġharīb-ḳhāne ko
dabā ke qabr meñ sab chal diye duā na salām
zarā sī der meñ kyā ho gayā zamāne ko
ab aage is meñ tumhārā bhī naam aa.egā
jo hukm ho to yahīñ chhoḌ duuñ fasāne ko
'qamar' zarā bhī nahīñ tum ko ḳhauf-e-rusvā.ī
chale ho chāñdnī shab meñ unheñ bulāne ko