Qamar Jalalvi

tauba kije ab fareb-e-dosti khaenge kya

Qamar Jalalvi

Aligarh, Uttar pradesh, India

1887-1968
tauba kiije ab fareb-e-dostī khā.eñge kyā
aaj tak pachhtā rahe haiñ aur pachhtā.eñge kyā
ḳhud samajhiye zab.h hone vaale samjhā.eñge kyā
baat pahuñchegī kahāñ tak aap kahlā.eñge kyā
bazm-e-kasrat meñ ye kyuuñ hotā hai un kā intizār
parda-e-vahdat se vo bāhar nikal ā.eñge kyā
kal bahār aa.egī ye sun kar qafas badlo na tum
raat bhar meñ qaidiyoñ ke par nikal ā.eñge kyā
ai dil-e-muztar inhīñ bātoñ se chhūTā thā chaman
ab tire naale qafas se bhī nikalvā.eñge kyā
ai qafas vaalo rihā.ī kī tamannā hai fuzūl
fasl-e-gul aane se pahle par na kaT jā.eñge kyā
shām-e-ġham jal jal ke misl-e-sham.a ho jā.ūñgā ḳhatm
sub.h ko ahbāb ā.eñge to dafnā.eñge kyā
jāntā huuñ phūñk degā mere ghar ko bāġhbāñ
āshiyāñ ke paas vaale phuul rah jā.eñge kyā
un kī mahfil meñ chalā aayā hai dushman ḳhair ho
misl-e-ādam ham bhī jannat se nikal jā.eñge kyā
nāḳhudā maujoñ meñ kashtī hai to ho ham ko na dekh
jin ko tūfānoñ ne paalā hai vo ghabrā.eñge kyā
tū ne tūfāñ dekhte hī kyuuñ nigāheñ pher liiñ
nāḳhudā ye ahl-e-kashtī Duub hī jā.eñge kyā
kyuuñ ye bairūn-e-chaman jalte hue tinke ga.e
mere ghar kī aag duniyā bhar meñ phailā.eñge kyā
koī to mūnis rahegā ai 'qamar' shām-e-firāq
sham.a gul hogī to ye taare bhī chhup jā.eñge kyā
Top Urdushayar.com