dekhiye ho ga.ī badnām masīhā.ī bhī
ham na kahte the ki Taltī hai kahīñ aa.ī bhī
husn ḳhuddār ho to bā.is-e-shohrat hai zarūr
lekin in bātoñ meñ ho jaatī hai rusvā.ī bhī
saiñkaḌoñ ranj o alam dard o musībat shab-e-ġham
kitnī hañgāma-talab hai mirī tanhā.ī bhī
tum bhī dīvāne ke kahne kā burā maan ga.e
hosh kī baat kahīñ karte haiñ saudā.ī bhī
baal o par dekh to lo apne asīrān-e-qafas
kyā karoge jo gulistāñ meñ bahār aa.ī bhī
paañv vahshat meñ kahīñ rukte haiñ dīvānoñ ke
toḌ Dāleñge ye zanjīr jo pahnā.ī bhī
ai mire dekhne vaale tirī sūrat pe nisār
kaash hotī terī tasvīr meñ goyā.ī bhī
ai 'qamar' vo na huī dekhiye taqdīr kī baat
chāndnī raat jo qismat se kabhī aa.ī bhī