Qamar Jalalvi

haTi zulf un ke chehre se magar aahista aahista

Qamar Jalalvi

Aligarh, Uttar pradesh, India

1887-1968
haTī zulf un ke chehre se magar āhista āhista
ayaañ sūraj huā vaqt-e-sahar āhista āhista
chaTak kar dī sadā ġhunche ne shāḳh-e-gul kī jumbish par
ye gulshan hai zarā bād-e-sahar āhista āhista
qafas meñ dekh kar baazū asiir aapas meñ kahte haiñ
bahār-e-gul tak aa jā.eñge par āhista āhista
koī chhup jā.egā bīmār-e-shām-e-hijr kā marnā
pahuñch jā.egī un tak bhī ḳhabar āhista āhista
ġham-e-tabdīlī-e-gulshan kahāñ tak phir ye gulshan hai
qafas bhī ho to ban jaatā hai ghar āhista āhista
hamāre bāġhbāñ ne kah diyā gulchīñ ke shikve par
na.e ashjār bhī deñge samar āhista āhista
ilāhī kaun sā vaqt aa gayā bīmār-e-furqat par
ki uTh kar chal diye sab chāra-gar āhista āhista
na jaane kyuuñ na aayā varna ab tak kab kā aa jaatā
agar chaltā vahāñ se nāma-bar āhista āhista
ḳhafā bhī haiñ irāda bhī hai shāyad baat karne kā
vo chal nikle haiñ mujh ko dekh kar āhista āhista
javānī aa ga.ī dil chhedne kī baḌh ga.iiñ mashqeñ
chalānā aa gayā tīr-e-nazar āhista āhista
jise ab dekh kar ik jaan paḌtī hai mohabbat meñ
yahī ban jā.egī qātil nazar āhista āhista
abhī tak yaad hai kal kī shab-e-ġham aur tanhā.ī
phir is par chāñd kā Dhalnā 'qamar' āhista āhista
Top Urdushayar.com