vo jī gayā jo ishq meñ jī se guzar gayā
iisā ko ho naved ki bīmār mar gayā
āzād kuchh hue haiñ asīrān-e-zindagī
yaanī jamāl-e-yār kā sadqa utar gayā
duniyā meñ hāl-e-āmad-o-raft-e-bashar na pūchh
be-iḳhtiyār aa ke rahā be-ḳhabar gayā
shāyad ki shām-e-hijr ke maare bhī jī uTheñ
sub.h-e-bahār-e-hashr kā chehrā utar gayā
aayā ki dil gayā koī pūchhe to kyā kahūñ
ye jāntā huuñ dil idhar aayā udhar gayā
haañ sach to hai shikāyat-e-zaḳhm-e-jigar ġhalat
dil se guzar ke tiir tumhārā kidhar gayā
dil kā ilaaj kījiye ab yā na kījiye
apnā jo kaam thā vo ġham-e-yār kar gayā
kyā kahiye apnī garam-ravī-hā-e-shauq ko
kuchh duur mere saath mirā rāhbar gayā
'fānī' kī zaat se ġham-e-hastī kī thī numūd
shīrāza aaj daftar-e-ġham kā bikhar gayā