mar ke TuuTā hai kahīñ silsila-e-qaid-e-hayāt
magar itnā hai ki zanjīr badal jaatī hai
asar-e-ishq taġhāful bhī hai bedād bhī hai
vahī taqsīr hai tāzīr badal jaatī hai
kahte kahte mirā afsāna gila hotā hai
dekhte dekhte taqdīr badal jaatī hai
roz hai dard-e-mohabbat kā nirālā andāz
roz dil meñ tirī tasvīr badal jaatī hai
ghar meñ rahtā hai tire dam se ujālā hī kuchh aur
mah o ḳhurshīd kī tanvīr badal jaatī hai
ġham nasīboñ meñ hai 'fānī' ġham-e-duniyā ho ki ishq
dil kī taqdīr se tadbīr badal jaatī hai