tākīd hai ki dīda-e-dil vā kare koī
matlab ye hai ki duur se dekhā kare koī
aate hī tere vāda-e-fardā kā e'tibār
ghabrā ke mar na jaa.e to phir kyā kare koī
vo jalva be-hijāb sahī zid kā kyā ilaaj
jab dil meñ rah ke aañkh se parda kare koī
kahte haiñ husn hī kī amānat hai dard-e-ishq
ab kyā kisī ke ishq kā daavā kare koī
ḳhālī hai bazm-e-zauq-talab ahl-e-hosh se
itnā nahīñ ki terī tamannā kare koī
vo dard de ki maut bhī jis kī davā na ho
is dil ko maut de jise achchhā kare koī
'fānī' duā-e-marg kī takrār kyā zarūr
ġhāfil nahīñ ki un se taqāzā kare koī