aisā bhī nahīñ dard ke maare nahīñ dekhe
ham ne gul-o-bulbul ke ishāre nahīñ dekhe
jab maiñ ne kahā martā huuñ muñh pher ke bole
sunte to haiñ par ishq ke maare nahīñ dekhe
har samt phire ḳhaak uḌāyā kiye barsoñ
par naqsh-e-qadam ham ne tumhāre nahīñ dekhe
poshīda haiñ kis had meñ mirī ḳhaak ke zarre
patthar meñ bhī is tarah ishāre nahīñ dekhe
turbat meñ mire band-e-kafan khol ke bole
ham ne dahan-e-zaḳhm tumhāre nahīñ dekhe
ab qabr pe aa.e ho to is samt bhī dekho
haañ nīchī nigāhoñ ke ishāre nahīñ dekhe
bechain hai dil fasl-e-bahārī meñ 'hasīñ' kā
ab tak kisī gul-rū ke ishāre nahīñ dekhe