Afroz Rizvi

azal se le ke abad tak charagh-e-fani hun

Afroz Rizvi

Hyderabad, Sindh, Pakistan

1969
azal se le ke abad tak charāġh-e-fānī huuñ
havā ke dosh pe likkhī huī kahānī huuñ
tū jāntā hai mirī be-gharī ke qisse ko
maiñ lā-makāñ se makāñ tak tirī kahānī huuñ
maiñ raushnī huuñ maiñ ḳhushbū huuñ mujh ko dekho to
kahīñ charāġh kahīñ raat kī maiñ raanī huuñ
maiñ bādaloñ meñ chhupī rahmat-e-ḳhudāvandī
kahīñ ghaTā to kahīñ bārishoñ kā paanī huuñ
vo jis ne mujh ko paḌhā hai varaq varaq 'afroz'
usī kī zaat meñ maiñ gum-shuda kahānī huuñ
Top Urdushayar.com