tumhārā isti.āra aañkh meñ hai
jahāñ saare kā saarā aañkh meñ hai
jahāñ do dil mohabbat se mile the
vo manzar vo nazāra aañkh meñ hai
nazar kī vus.atoñ se dil kī had tak
tumhārā har ishāra aañkh meñ hai
jahāñ mere sahāre chhin ga.e the
vo sahrā be-sahārā aañkh meñ hai
tumhāre vasl ke lamhe se ab tak
tumhārā qurb saarā aañkh meñ hai
mohabbat ke hasīñ ḳhvāboñ ke badle
ye kis ġham kā ishāra aañkh meñ hai
mire ashk-e-ravāñ ye kah rahe haiñ
ki mauj-e-be-kināra aañkh meñ hai
udāsī ke diye ham-rāh le kar
shab-e-furqat kā taara aañkh meñ hai
jo vo ḳhāmosh ho to aañkh bole
suḳhan saare kā saarā aañkh meñ hai
jahāñ par tum bichhaḌ kar mil na paa.e
vo shām-e-be-nazāra aañkh meñ hai
tū merā jism hai jaañ hai tū merī
talab kā goshvārā aañkh meñ hai