Afroz Rizvi

dekhne mein jo lage sham-o-sahar ke sathi

Afroz Rizvi

Hyderabad, Sindh, Pakistan

1969
dekhne meñ jo lage shām-o-sahar ke sāthī
vo to sāthī the faqat rāhguzar ke sāthī
ab kahāñ haiñ vo mire ashk pirone vaale
ab kahāñ haiñ vo mire dīda-e-tar ke sāthī
tum ko dekhā to mire dil ne kahā tum hī to ho
zaḳhm-e-dil zaḳhm-e-jigar zaḳhm-e-nazar ke sāthī
is meñ kyā shak zaman-afroz rahā hai ye kalām
ham bhī rahte haiñ mudām ahl-e-nazar ke sāthī
maiñ akelī hī chalī jānib-e-manzil 'afroz'
ham-safar Thahre mire sirf safar ke sāthī
Top Urdushayar.com