yuuñ sitam kī na intihā kiije
tauba kiije ḳhudā ḳhudā kiije
pyaar meñ ḳham hai ye sar-e-taslīm
aap ab jāniye ki kyā kiije
qarz koī bhī ham nahīñ rakhte
aap chāhat kī intihā kiije
toḌ kar shīsha-e-yaqīñ merā
lutf-e-āzār kuchh sivā kiije
ḳhvāhisheñ dil meñ jab sulagtī hoñ
kaise jiine kā aasrā kiije
jaan liije ki saath hai 'afroz'
aap jab jab mujhe sadā kiije