vo mahaktā hai jo ḳhushbū ke havāloñ kī tarah
is ko rakkhā hai kitāboñ meñ gulāboñ kī tarah
vo jo ḳhvāboñ ke jazīre meñ nazar aatā hai
mere idrāk meñ rahtā hai kināroñ kī tarah
ban ke ehsās jo dhaḌkan se lipaT jaatā hai
saath rahtā hai mohabbat meñ ḳhayāloñ kī tarah
dekhnā ḳhvāb kī sūrat meñ nazar aa.egā
vo jo palkoñ pe chamaktā hai sitāroñ kī tarah
maiñ ne ḳhushbū ke libāde meñ jise chūmā thā
merī har saañs meñ shāmil hai vo phūloñ kī tarah
vo mire sher kā ik misra-e-tar ho jaise
gungunātī huuñ use aaj maiñ gītoñ kī tarah
itnī achchhī thī mulāqāt ki pahle din hī
dil meñ 'afroz' basāyā use sochoñ kī tarah