ye ḳhvāb jis ne dikhā.e the ik safar ke mujhe
vo ashk de gayā āñkhoñ meñ umr bhar ke mujhe
hai fan meñ yaktā vo sayyād ho ki ho dilbar
uḌaan bharne ko kahtā hai par katar ke mujhe
kaThin thā rāsta dushvār thī har ik manzil
koī dikhā.e usī raah se guzar ke mujhe
maiñ us kī ḳhaas nazar se taḌap taḌap uTThūñ
vo itne pyaar se dekhe Thahar Thahar ke mujhe
zarā sī der Thaharne de ai ġham-e-duniyā
zarā sā dekh le vo bhī to aañkh bhar ke mujhe
mire ḳhayāl kī uljhan kahāñ sudhartī hai
gul-e-bahār ne dekhā hai phir sañvar ke mujhe
sulag rahī huuñ maiñ sāñsoñ kī tez bhaTTī meñ
pilā rahā hai vo ulfat ke jaam bhar ke mujhe
vo shahd ghol rahā hai samā.atoñ meñ mirī
bulā rahā hai koī baam se utar ke mujhe
dhaḌak rahā hai mohabbat meñ dil mirā 'afroz'
guzar rahī haiñ havā.eñ bhī pyaar kar ke mujhe