yahī to merī vafā kā sila diyā hai mujhe
ki tum ne bhuul samajh kar bhulā diyā hai mujhe
mire ḳhayāl kī lau ko bujhāne vāloñ ne
charāġh-e-rāh samajh kar jalā diyā hai mujhe
kabhī to sar meñ samāyā junūn kī sūrat
kabhī ġhubār kī sūrat uḌā diyā hai mujhe
tumhāre qurb kī ḳhvāhish ne dāman-e-shab par
tumhāre vasl kā muzhda sunā diyā hai mujhe
maiñ aaj dekh rahī huuñ ki tere kūche meñ
tirī talab ne fasāna banā diyā hai mujhe
udāsiyoñ meñ aTī shām-e-ġham kī chaukhaT par
ḳhayāl-e-yār ne kitnā rulā diyā hai mujhe
jahāñ bhī sham-e-mohabbat jalā.ī hai maiñ ne
havā-e-ġham ne vahīñ par bujhā diyā hai mujhe