tujh se ta.alluqāt kī tajdīd ke liye
maiñ ne charāġh haath meñ ummīd ke liye
phailī hai mere dil meñ tire dil kī raushnī
lamhāt-e-fikriya haiñ ye ḳhurshīd ke liye
ik sher tujh pe is tarah likkhūñ ki jis tarah
momin kā sher ġhairat-e-nāhīd ke liye
chheḌā hai ek naġhma-e-shīrīñ bhī kū-ba-kū
dil ne hilāl-e-īd kī tā.īd ke liye
sū-e-falak nazar jo uThī to vuzū kiyā
merī zabāñ ne kalma-e-tauhīd ke liye
mere laboñ ne aaj qasīde bahut paḌhe
apne ḳhudā-e-pāk kī tamjīd ke liye
uTheñge aaj merī taraf jab tire qadam
koī ḳhabar na aa.egī tardīd ke liye
dekhūñ tujhe to dāman-e-tausīf kah uThe
ik harf bhī mile nahīñ tanqīd ke liye
maiñ sochtī huuñ dasht-e-tamannā meñ aaj shab
āñkheñ taras na jaa.eñ tirī diid ke liye
lekin mujhe yaqīñ hai tire āsmān par
utregī chāñd raat mirī iid ke liye