Afroz Rizvi

jitne hain rang-e-chaman rang-e-hina ho jaenge

Afroz Rizvi

Hyderabad, Sindh, Pakistan

1969
jitne haiñ rañg-e-chaman rañg-e-hinā ho jā.eñge
tum hameñ dekhoge aur ham aa.ina ho jā.eñge
ḳhaak oḌheñge phireñge kū-ba-kū aur us ke ba.ad
ham tirī furqat meñ jaane kyā se kyā ho jā.eñge
naqsh ban kar pāniyoñ meñ Dūbte haiñ jis tarah
dekhnā is tarah ik din ham fanā ho jā.eñge
maut kī āñdhī chalegī aur phir mere charāġh
dekhte hī dekhte nazr-e-havā ho jā.eñge
apnī ḳhushbueñ utarne do hamāre jism meñ
phuul kī sūrat khileñge ham sabā ho jā.eñge
vasl kī shab jagmagā.egī dil aflāk par
chāñd aur sūraj tumhāre naqsh-e-pā ho jā.eñge
dekh lenā TuuT kar shāḳh-e-shajar se ek din
ḳhushk patte āñdhiyoñ ke ham-navā ho jā.eñge
ek din 'afroz' jitne bhī haiñ āhañg-e-hayāt
gumbad-e-jāñ meñ vo sab hī be-sadā ho jā.eñge
Top Urdushayar.com