musalsal aañkh meñ yuuñ aanā jaanā āñsuoñ kā hai
mirā chehra hai aur mehmān-ḳhāna āñsuoñ kā hai
bahut mushkil bayāñ hai chashm-o-dil ke ḳhuun hone kā
bahut āsān palkoñ se girānā āñsuoñ kā hai
paḌe rahte haiñ us kī diid ke kuchh aks konoñ meñ
vagarna aañkh meñ saarā Thikāna āñsuoñ kā hai
faqat tajdīd-e-nau kī baat hai har ahd meñ varna
tumhāre hijr se rishta purānā āñsuoñ kā hai
bahut āsāñ sahī dāman pe girnā chand qatroñ kā
bahut mushkil sar-e-mizhgāñ uThānā āñsuoñ kā hai
ḳhayāl-o-ḳhvāb ko 'afroz' koī aa ke samjhā de
bulānā us kī yādoñ kā bulānā āñsuoñ kā hai