ā.īne se tumhārī nazar der se milī
mujh ko naved-e-shām-o-sahar der se milī
dariyā-e-be-ḳhudī ko bhañvar der se milā
paanī ko sāhiloñ kī ḳhabar der se milī
shāyad isī liye mujhe manzil na mil sakī
mujh ko tumhārī rāhguzar der se milī
be-ḳhvāb rāstoñ meñ ye ta.abīr-e-dard-e-dil
mil to ga.ī hai mujh ko magar der se milī
un ko na mil sakī tire ujle badan kī dhuup
jin ko ziyā-e-shams-o-qamar der se milī