Afroz Rizvi

sari bazm-e-talab tumhaari hai

Afroz Rizvi

Hyderabad, Sindh, Pakistan

1969
saarī bazm-e-talab tumhārī hai
din tumhārā hai shab tumhārī hai
shāḳh-e-jāñ pe ye pyaar kī shabnam
pahle merī thī ab tumhārī hai
merī sāñsoñ meñ vasl kī ḳhushbū
jitnī hai sab kī sab tumhārī hai
ye jo ik be-ḳhudī kā dariyā hai
is meñ mauj-e-tarab tumhārī hai
sochtī huuñ ki ye badan kī mahak
kab nahīñ aur kab tumhārī hai
nashsha-e-chashm-o-lab tumhārā hai
shāḳh-e-bint-e-inab tumhārī hai
raushnī mahtāb se baḌh kar
dil meñ shāh-e-arab tumhārī hai
tum ne sochā hai ye kabhī 'afroz'
zindagī be-sabab tumhārī hai
Top Urdushayar.com