Afroz Rizvi

nigah se bhi gae arz-e-haal se bhi gae

Afroz Rizvi

Hyderabad, Sindh, Pakistan

1969
nigāh se bhī ga.e arz-e-hāl se bhī ga.e
vo barhamī hai ki ham bol-chāl se bhī ga.e
vo lafz jo maiñ tirī aarzū meñ likhtī thī
vo naqsh to mirī lauh-e-ḳhayāl se bhī ga.e
misāl detī thī duniyā bhī jis rifāqat kī
vo fāsle haiñ ki ab is misāl se bhī ga.e
vo tā.irān-e-mohabbat jinheñ falak na milā
uḌaan bhar na sake aur Daal se bhī ga.e
vo harf-e-marham-e-har-zaḳhm yaad the 'afroz'
ab un ke ba.ad to ham indimāl se bhī ga.e
Top Urdushayar.com