jin ke rastoñ se sadā maiñ ne haTā.e patthar
vo mire sar ke liye DhūñD ke laa.e patthar
maiñ ne dekhā ki mire shīsha-e-jāñ par ik din
tere kūche meñ har ik samt se aa.e patthar
maiñ jise dekh ke hāthoñ meñ duā.eñ pahnūñ
vo mujhe dekh ke hāthoñ meñ uThā.e patthar
jo mujhe tere ta.alluq se mile maiñ ne vahī
kabhī chūme kabhī āñkhoñ se lagā.e patthar
maiñ use zaḳhm-e-mohabbat pe sajā kar rakkhūñ
dasht-e-ulfat se jo mere liye aa.e patthar
terī āñkhoñ ke taġhāful se tire pahlū meñ
jab mire ḳhvāb nahā.e to nahā.e patthar
us kī ḳhushbū kī talab meñ jo maiñ ghar se niklī
us ne phūloñ kī tarah mujh pe luTā.e patthar
vo haiñ phūloñ kī tarah merī nazar meñ 'afroz'
jitne bhī mere lahū meñ haiñ nahā.e patthar