Nazeer Azad

zarra zarra karbala manzar-ba-manzar tishnagi

Nazeer Azad

kashmir,

1958
zarra zarra karbalā manzar-ba-manzar tishnagī
apne hisse meñ to aa.ī hai sarāsar tishnagī
ye bhī dekhā hai sarāboñ se hue sairāb log
pāniyoñ ke saath bhī bahtī hai aksar tishnagī
ho ga.iiñ palkoñ se hī ruḳhsat vo maujeñ ḳhvāb kī
Derā Daale hai yahāñ āñkhoñ ke andar tishnagī
tujh meñ gar bārish samundar ke barābar hai to kyā
mere andar bhī hai sahrā ke barābar tishnagī
is mohazzab shahr meñ ādāb haiñ kuchh jashn ke
raqs kartī hai yahāñ nezoñ ke uupar tishnagī
kyuuñ hamārī chhat ke uupar bādaloñ kā shor hai
kyā hamāre ghar meñ jā.egī mukarrar tishnagī
Top Urdushayar.com