Nazeer Azad

kya raat kaTi apni ulajhte hue jaan se

Nazeer Azad

kashmir,

1958
kyā raat kaTī apnī ulajhte hue jaañ se
phir niind bhī aatī hai kahāñ shor-e-sagāñ se
ai ishq girah khol to ab merī zabāñ kī
karnī hai mujhe baat zarā ham-nafasāñ se
chupke se mire dil ne kahā kaan meñ kal shab
yuuñ haath uThātā hai koī ishq-e-butāñ se
vo ābla-pā.ī ko mirī dekh ke bolā
dīvāne zarā phuuT bhī kuchh apnī zabāñ se
maiñ terā paḌosī huuñ miyāñ qais chaleñ saath
sahrā tirā kuchh duur nahīñ mere makāñ se
ābād hai is dil kā jahāñ jis ke qadam se
vo mujh ko pukāre hai kisī aur jahāñ se
phir lauT ke aayā na tirī tarah mire paas
vo tiir jo niklā thā kabhī merī kamāñ se
Top Urdushayar.com