Raza Amrohvi

hun shamil sab mein aur sab se juda hun

Raza Amrohvi

Amroha, Uttar pradesh, India

1939
huuñ shāmil sab meñ aur sab se judā huuñ
maiñ ḳhud ye sochtā rahtā huuñ kyā huuñ
hisār-e-zāt se bāhar nikal kar
maiñ har sūrat meñ tujh ko DhūñDhtā huuñ
vo mujh se duur bhī hai paas bhī hai
kabhī maiñ apne dil meñ dekhtā huuñ
maiñ ḳhud kuchh bhī nahīñ huuñ ye bhī sach hai
navā vo hai magar maiñ ham-navā huuñ
kabhī maiñ apne aalam meñ nahīñ huuñ
kabhī raazī kabhī ḳhud se ḳhafā huuñ
mujhe kab tak is aalam meñ rakhegā
tirī kyā maslahat hai sochtā huuñ
tamāshā-gāh-e-hastī kī na pūchho
maiñ ḳhud hī ibtidā ḳhud intihā huuñ
mujhe jalvat meñ kyā kyā dekhnā hai
abhī ḳhalvat meñ masrūf-e-duā huuñ
'razā' ik banda-e-ājiz huuñ maiñ to
vahī likhtā huuñ jo kuchh dekhtā huuñ
Top Urdushayar.com