Raza Amrohvi

dil bata aur kya hai hone ko

Raza Amrohvi

Amroha, Uttar pradesh, India

1939
dil batā aur kyā hai hone ko
choT khaa.ī hai maiñ ne rone ko
be-navā ḳhvāb muntazir haiñ mire
raat baaqī kahāñ hai sone ko
sozan-e-shauq ko shab-e-hijrāñ
sirf aañsū mile pirone ko
apnī ḳhushiyoñ meñ dūsroñ ke ġham
hausla chāhiye samone ko
nahīñ ma.alūm intizām hai kyā
dāman-e-zīst ke bhigone ko
nik.hatoñ ke dayār meñ mujh ko
ātishīñ gul mile pirone ko
roz ummīd jaag jaatī hai
gum-shuda aarzū ke khone ko
kuchh to ahbāb kaam ā.eñge
kashti-e-shauq ke Dubone ko
fikr us ko ho jis ke paas ho kuchh
kuchh nahīñ mere paas khone ko
maiñ huuñ tanhā.ī kā samundar hai
ġham khaḌe haiñ mujhe Dubone ko
āgahī sirf kaam aa.ī 'razā'
mere dāġh-e-junūñ ke dhone ko
Top Urdushayar.com