chaman vahī hai ghaTā.eñ vahī bahār vahī
magar guloñ meñ vo ab rañg-o-bū nahīñ baaqī
hai dil-kashī meñ vahī ab bhī mausamoñ kī bahār
nazar meñ kaifiyat-e-rañg-o-bū nahīñ baaqī
shabāb-e-dahr kī ab bhī hai vo farāvānī
magar ḳhayāl meñ josh-e-numū nahīñ baaqī
hai dil meñ dard bhī pahlū meñ dil bhī hai lekin
kisī ke dard pe rone kī ḳhū nahīñ baaqī
haram kī sham-e-farozāñ hai aaj bhī lekin
tajassus-e-nazar-e-shola-jū nahīñ baaqī
gale to milte haiñ ahbāb ai 'hayā' ab bhī
magar diloñ meñ sadāqat kī bū nahīñ baaqī