Fani Badayuni

hasil-e-ilm-e-bashar jahl ka irfan hona

Fani Badayuni

Badayun, Uttar pradesh, India

1879-1941
hāsil-e-ilm-e-bashar jahl kā irfāñ honā
umr bhar aql se sīkhā kiye nādāñ honā
chaar zanjīr-e-anāsir pe hai zindāñ mauqūf
vahshat-e-ishq zarā silsila-e-jumbāñ honā
jamā kartā huuñ girebāñ ke nikāle hue taar
yaad aayā hai mujhe sar-ba-garebāñ honā
dil bas ik larzish-e-paiham hai sarāpā yaanī
tere ā.īna ko aatā nahīñ hairāñ honā
fāl-afzūdni-e-mushkil hai har āsāni-e-kār
merī mushkil ko mubārak nahīñ āsāñ honā
rāhat-e-anjām-e-ġham aur rāht-e-duniyā mālūm
likh diyā dil ke muqaddar meñ pareshāñ honā
de tirā husn-e-taġhāful jise hai chāhe fareb
varna tū aur jafāoñ pe pashīmāñ honā
haa.e vo jalva-e-aiman vo nigāh-e-sar-e-tūr
fitnā-sāmāñ se tirā fitna-e-sāmāñ honā
ḳhāk-e-'fānī' kī qasam hai tujhe ai dasht-e-junūñ
kis se sīkhā tire zarroñ ne bayābāñ honā
Top Urdushayar.com