na hotī hāl-e-dil kahne kī gar himmat to achchhā thā
na sunet kaash vo sharh-e-ġham-e-ulfat to achchhā thā
mirī betābi-e-dil baḌh ga.ī hai al-amāñ kitnī
nikaltī gar na shauq-e-dīd kī hasrat to achchhā thā
vo rāhat-be-ziyāñ sābit huī kitnī hubāb-āsā
kabhī hotā na itmām-e-shab-e-furqat to achchhā thā
huā kyuuñ iltifāt un kā baḌhā kyuuñ hausla merā
nihāñ phūloñ meñ rahtī aah gar nik.hat to achchhā thā
tamannā hai fuzūñ hoñ shorisheñ jazb-e-mohabbat kī
dil-e-muztar kī baḌhtī aur bhī vahshat to achchhā thā
raheñ ġham kī sharar-añgeziyāñ yā-rab qayāmat tak
'hayā' ġham se na miltī gar kabhī fursat to achchhā thā