nigāh-e-shauq agar dil kī tarjumāñ ho jaa.e
to zarra zarra mohabbat kā rāz-dāñ ho jaa.e
phir is ke ranj-o-ġham o daaġh kī had hai koī
jo is jahāñ meñ ghaḌī bhar ko shādmāñ ho jaa.e
kasī se kyā gila-e-jaur-e-āsmāñ kiije
ki jis zamīñ pe raheñ ham vo āsmāñ ho jaa.e
'hayā' Thikānā bhī kuchh aisī dard-mandī kā
ki lab tak aa.e na ik harf aur fuġhāñ ho jaa.e