Gulshan Khanna

ya-rab ye kaisa aaj ka insan ho gaya

Gulshan Khanna

Hafizabad, Punjab, Pakistan

1934-2019
yā-rab ye kaisā aaj kā insān ho gayā
taḳhlīq kar ke tū bhī pashemān ho gayā
mausam bahār kā thā ḳhizāñ jald aa ga.ī
hañstā huā chaman mirā vīrān ho gayā
luuTā hai jis ne shahr ke sabr-o-qarār ko
vo shaḳhs mere shahr kā pardhān ho gayā
aise na.e chalan kī chalīñ āñdhiyāñ yahāñ
insān apnī zaat meñ haivān ho gayā
chāhā thā maiñ ne dil se kabhī tujh ko TuuT kar
vo hādisa hayāt kā unvān ho gayā
thiiñ zindagī kī raah meñ dushvāriyāñ bahut
marnā kisī ke ishq meñ āsān ho gayā
itnā hasīn hai mire 'gulshan' kā bāñkpan
har gul mirī nigāh meñ zīshān ho gayā
Top Urdushayar.com