parinde ham ko peḌoñ par dikhā.ī kyoñ nahīñ dete
kisī bhī shāḳh par ab ghar dikhā.ī kyoñ nahīñ dete
na titlī hai na shabnam hai na kaliyāñ haiñ na ġhunche haiñ
bahāroñ ke bhalā manzar dikhā.ī kyoñ nahīñ dete
sitāre so rahe haiñ āsmāñ ko god meñ thak kar
mujhe ab chāñd ke manzar dikhā.ī kyoñ nahīñ dete
jahāñ amn-o-amāñ kī deviyāñ āvāz detī thiiñ
ab aise ḳhūb-rū mandir dikhā.ī kyoñ nahīñ dete
sharāfat faḳhr-e-insāñ thī kabhī īmān-o-rāhat thī
zamāne meñ ye ab jauhar dikhā.ī kyoñ nahīñ dete
piyāle kyoñ mire hoñToñ tak aa kar TuuT jaate haiñ
rasīle ab yahāñ sāġhar dikhā.ī kyoñ nahīñ dete
riyā-kārī hai kyoñ sheva hamāre dostoñ kā ab
mohabbat ke yahāñ gauhar dikhā.ī kyoñ nahīñ dete
jahāñ insān kī insān se ho dostī 'gulshan'
kisī bhī samt aise dar dikhā.ī kyoñ nahīñ dete