Fani Badayuni

be-ajal kaam na apna kisi unwan nikla

Fani Badayuni

Badayun, Uttar pradesh, India

1879-1941
be-ajal kaam na apnā kisī unvāñ niklā
dam to niklā magar āzurda-e-ehsāñ niklā
aa ga.ī hai tire bīmār ke muñh par raunaq
jaan kyā jism se niklī koī armāñ niklā
dil-e-āgāh se kyā kyā hameñ ummīdeñ thiiñ
vo bhī qismat se charāġh-e-tah-e-dāmāñ niklā
dil bhī thā muñh se bas ik aah nikal jaane tak
aag siine meñ lagā kar ġham-e-pinhāñ niklā
chārāgar nāseh-e-mushfiq dil-e-be-sabr-o-qarār
jo milā ishq meñ ġham-ḳhvār vo nādāñ niklā
shikva manzūr nahīñ tazkira-e-ishq na chheḌ
ki vo dar-parda mirā hāl-e-pareshāñ niklā
bijliyāñ shāḳh-e-nasheman pe bichhī jaatī hai
kyā nasheman se koī soḳhta-sāmāñ niklā
ab junūñ se bhī tavaqqo nahīñ āzādī kī
chāk-e-dāmāñ bhī ba-andāza-e-dāmāñ niklā
haa.e vo vāda-e-fardā kī madad vaqt-e-aḳhīr
haa.e vo matlab-e-dushvār ki āsāñ niklā
shauq-e-betāb kā anjām tahayyur paayā
dil samajhte the jise dīda-e-hairāñ niklā
us ne kyā sīna-e-sad-chāk se khīñchā 'fānī'
dil maiñ kahtā huuñ vo kahtā hai ki paikāñ niklā
Top Urdushayar.com