dāstāñ yuuñ badal ga.ī hogī
mauj sāhil nigal ga.ī hogī
tum ko shāyad yaqīñ na aa.e par
aag paanī se jal ga.ī hogī
chand pal rahtī hai anā us kī
barf ban kar pighal ga.ī hogī
haa.e anjām kis gumāñ kā hai ye
shāḳh kuchh phuul phal ga.ī hogī
raat bhar āsmān royā thā
sub.h sīlan se gal ga.ī hogī
dekh hālat mirī jabīneñ ka.ī
girte girte sambhal ga.ī hogī
moḌ se duurī par khaḌā huuñ maiñ
gaaḌī rasta badal ga.ī hogī
ghaav detī hai ab vo mom zabāñ
ġhair sāñche meñ Dhal ga.ī hogī
pahle jo thā vahī huuñ maiñ ab bhī
fitrat us kī badal ga.ī hogī