Javed Iqbal Sattar

hans kar aansu pine wale dard baTane wale log

Javed Iqbal Sattar

hañs kar aañsū piine vaale dard baTāne vaale log
baad hamāre tum DhūñDoge naaz uThāne vaale log
mausam badlā patjhaḌ aa.ī panchhī uḌ ga.e shāḳhoñ se
saath rahe haiñ saath raheñge saath nibhāne vaale log
baat kahī kyā ḳhuub kisī ne maiñ dohrā.e detā huuñ
dost nahīñ hote haiñ saare haath milāne vaale log
dushman ke zaḳhmoñ pe marham aap lagā.eñ baḌh-chaḌh kar
jiit se gar vāqif ho jaa.eñ jiit manāne vaale log
sāhil hai in.aam unhī kā jo tūfān se laḌte haiñ
rizq-e-dariyā ho jaate haiñ shor machāne vaale log
tum ne rāteñ so kar kāTīñ aur din bhar ārām kiyā
sūraj chāñd sitāre laa.e ḳhaak uḌāne vaale log
mīloñ chal kar ā.eñge taare hamārī chaukhaT par
go ham ko pahchān na paa.e aaj zamāne vaale log
Top Urdushayar.com