maiñ kis se pūchhtā ki bhalā kyā kamī huī
thā shor jis galī meñ vahāñ ḳhāmushī huī
ik maiñ hī to nahīñ huuñ pareshān-o-pur-malāl
ai shaam tere saath bhī ab ke baḌī huī
mahfūz kar na pā.eñge dīvār-o-bām-o-dar
merī fuġhāñ huī ki vo terī hañsī huī
dīvār-e-jāñ girā ke hī niklegī yād-e-yār
ek meḳh jaise dil ke hai andar gaḌhī huī
khultī hī jā rahī hai girāñbārī-e-junūñ
zanjīr kyā hai paañv se mere bañdhī huī
ab dekhiye to kyā ye vahī chashm hai 'na.īm'
zambīl thī ki ḳhvāboñ se koī bharī huī